Islamic words, islamic history, madinah history, hadees in urdu, islamic hadees in urdu, urdu and english riawayat of islamic, urdu islamic hadees and riwayat, islamic quotes in urdu, nabi ka elam ghaib in urdu, nabiyo ki batein, nabiyo ki hadees, hadees bukhari in urdu englsh, english urdu islamic information, islamic information about madinah, kahani of islam, madinah ki kahani, madinah ki tameer, old madinah history, nabiyo ki kahawaten, nabiyo ka elam ghaib, madina me dajjal ka time, dajjal ka door, dajjal in madina, nabi ki zindagi, muhammad saww ki zindagi in madinah, madina ki history in urdu english, english islamic quotes, islamic hadees, islamic wallpapers, islamic photos, islam ki kahani in urdu english, dajjal ka pehla door madinah me, hadees bukhari in urdu, ramzan ki hadees in urdu, nabi saww ke time dajjal ka door, dajjal ka door madinah me history in urdu,
Nabi ﷺ Kaa elam ghaib part no 01
Aqaed haq ka tohaffuz har musalman per lazim hai, har
musalman per farz hai k wo aqaed sahi haq ko ikhtiyar karey aur iskey sath sath
amaal sal’eh ka paekar baney.
Rasool ﷺ k mutalliq ye yakeen rakhna k ap ﷺ ghaeb jaantey hain quran o hadees k ayen
mutabiq hai, jin ayato aur ahadees se bazahir ap ﷺ
k ilm e ghaeb ki nafi hoti hai dar haqeeqat waha zati ilm e ghaeb ki nafi
muraad hai.
Rasool ﷺ ko ALLAH ne ilm e ghaeb ata kiya hai.
ALLAH TA’ALA FARMATA HAI:
TARJUMA:
Aur ALLAH ne apko wo tamaam ki tamaam chizen sikhadi jo ap
nahi jaante the.
(SURAH NISA, AYATH 113)
TARJUMA:
Aur wo (rasool ﷺ) ghaeb bataney me
baqeel nahi hain.
(SURAH TAKWEER, AYATH 24)
TARJUMA:
Pas wo kisi ko apne ghaeb per masallath nahi karta siwaye apne
pasandida rasool k.
(SURAH JINN, YATH 26)
Rasool ﷺ sahib e ilm, makaan o ma yakoon hain,
huzoor ﷺ ne sahaba kiraam k saamne qayamat tak
waqey hone waley tamaam waqeyaath o ahwaal ko eke k juzya ki tafseel k sath
bayaan farmaya.
Rasool e akram ﷺ hare k basher k
tamaam zahiri o batini kaefiyath ko jaante hain, uloom khamsa ko bhi jaante
hain, kis shaks ki maot kis waqt aur kis maqaam aur kis halath me waqey hone
waley hai ap ﷺ isko jaante hain, farsh se lekar arsh tak,
shumaal se junoob tak, mashriq se maghrib tak, takhleeq e kayenaath se lekar
qayamat tak aur iskey baad k bhi tamaam halath o waqeyath ka ap ﷺ ko ilm hai.
Kayenaath ki koi shaey ap ﷺ
ki nigah se poshida aur ap ﷺ k ilm se bahar nahi hai.
Ilm k mayiney jaanna hai, aur gai’b k mayiney ghayab hona,
chupna, kisi cheez ka poshida hona, ilm e gai’b k lafzi mayiney mukhaffi chizo
ko jaanna.
Istalahi mayiney aesi mukhaffi chizo ko jaanna jinko wahi ya
ilhaam k baghaer hawaas khamsa aur aqal k zariye nahi jana ja sakta hai,
chunanchey allama qazi naser uddin albehawi alaehi rehma tafseer bezavi me
gai’b ki tafseer karte huye farmaya.
TARJUMA:
Aur gai’b se murad aesi poshida shaey hai jiska hawaas k
zariye idraak nahi kiya jasakta aur na aqal iska adraak karti hai, yaani ilm e
gai’b in haqaeq ka jaanna hai jo na hawaas e khamsa k zariye malum ho sakey,
aur na aqal ki waha tak rasayi ho sakey, ilm e gai’b ka matlab ye hai k ilm e
gai’b in chizo ka ilm hai jinko na aankh se dekh kar malum kiya ja sakta hai
aur na kaan se sunkar aur na hath se pakad kar aur na naak se soongh kar aur na
aqal k zariye aur na wajdaan se.
Phir yaha ek ashkaal paeda hota hai k jab ambiya عليه السلام gai’b jaante hain
yaani chupi huyi cheezo ko jaante hain, to ab wo chizey inkey liye gai’b na
rahi, balkey haazir huyi, phir isko gai’b kyu kehte hain, to iska jawaab yeh
hai k quran majeed me ALLAH SUBHAN WA TA’ALA k liye bhi aalim ul gai’b(SURAH
HASHR, SURAH AL JINN) ki sifath mazkoor hai, jiska tarjuma yeh hai.
ALLAH TA’ALA gai’b (chupi huyi chizo ko) jaanney wala hai.
Jabkey ALLAH TA’ALA se koi cheez poshida aur mukhaffi nahi
hai.
JAESE KA IRSHAD E RABBANI HAI:
Aur ALLAH per kuch chupa nahi zameen me aur na asmaano me.
(SUREH IBRAHIM, AYATH 38)
Jab ALLAH TA’ALA se koi cheez chupi huyi nahi hai to iskey
gai’b ko jaanney ka matlab yahi hai k wo gai’b e makhlooq k aetbaar se yaani
ALLAH TA’ALA un cheezo ko bhi jaanta hai jo aam bando ki nigaho se chupi huyi
aur poshida hai, ambiya e kiraam عليهم السلام
gai’b jaante hain iska mafhoom bhi yahi hai, yaani ambiya e kiraam عليهم السلام in cheezo ko bhi
jaante hain jo aam bando ki nigaho se aojhal hotey hain, ALLAH TA’ALA aur iskey
rasool e akram ﷺ
k ilm e gai’b k darmiyaan hisb e zeel farq hai.
ALLAH TA’ALA KA ILM E GAI’B ZATI HAI.
ALLAH TA’ALA KA ILM E GAI’B KHADEEM HAI.
ALLAH TA’ALA KA ILM E GAI’B LA MEHDOOD O LA MATNAHI HAI.
RASOOL E AKRAM ﷺ KA ILM E GAI’B ATAYI HAI.
RASOOL E AKRAM ﷺ KA ILM E GAI’B HADAS HAI.
RASOOL E AKRAM ﷺ KA ILM E GAI’B ALLAH K ILM K MUQABLE ME JAZAYI MEHDOOD AUR KAM
HAI, LEKIN ALLAH K SIWA TAMAAM KAYENAAT AOLEEN O AKHIREEN K ILM K MUQABLE ME
SABSE ZYADA AUR GAIR MEHDOOD AUR KULLI HAI.
Is faraq k sath rasool e akram ﷺ ka ilm e gai’b manna
aur iska aeteqaad rakhna har musalman per farz o laazim hai, yeh quran o hadees
k ayen mutabiq hai.
INSHA’ALLAH AAGEY HADEES SE SABITH KIYA JAYEGA.
ILM-E-GAI’B HUZOOR ﷺ K MUTALLIQ SAHIH
BUKHARI SHAREEF K AHADEES.
MUJHSE JO CHAHO PUCHLO:
HADEES 1:
TARJUMA:
Hazrath abu moosa رضى الله عنه
se riwayath hai k huzoor nabi kareem رضى الله عنه
se chand aesi cheezon k baarey me daryafth kiya gaya jinko aap ﷺ
napasand farmaya, pas jab ap ﷺ
s kaseer sawalath kiye gaye to ap ﷺ gussa hogaye.
Phir ap ﷺ
ne farmaya mujhse jis cheez k baarey me chaho pucho?
Ek shaks ne kaha:
Mere walid kaon hai?
To ap ﷺ
ne farmaya:
Tumhare walid khadafa hain.
Dusre shaks khada hua aur kaha:
Ya rasool allah ﷺ! Mere walid kaon hai?
Ap ﷺ
ne farmaya:
Tumhare walid sha’eba k azaad karda ghulam salam hain.
Pas jab hazrath omer رضى الله عنه ne ap ﷺ k chehra e anwar per
narazgi ki kaefiyath ko dekha to arz kiya:
Ya rasool allah ﷺ! Beshak hum ALLAH buzrug o bartari ki bargah me taoba karte
hain.
(SAHIH BUKHARI, JILD 1, KITAB UL ILM, HADITH 92)
KHULASA:
Is hadees shareef se ye baat malum hoti hai k rasool e akram
ﷺ
har shaey ka ilm rakhte hain, zahir o batin bhi jaante hain, mugheebat ko
jaante hain, hata k logo k aba wajdaad, ahsaab o insaab bhi jaante hain.
NABI ﷺ
QABAR ME HO RAHE AZAAB KO BHI JAANTE HAIN
HADEES 2:
TARJUMA:
Abdullah ibne abbas رضى الله عنه se riwayat hai unhone kaha nabi e akram ﷺ
madina ya mecca k bagho me ek bagh k paas se guzre pas ap ﷺ ne do insane ki awaaz
suni jinhey unki qabro me azaab ho raha tha.
Nabi kareem ﷺ ne farmaya:
In dono ko azaab diya jaraha hai aur inko kisi bade gunah k
silsiley me azaab diya jar aha hai, phir ap ﷺ ne farmaya in dono me
se ek shaks apne peshab se nahi bachta tha aur dusra choghal khori karta tha,
phi rap ﷺ
ek tehni talab farmaye aur iskey do tukde kiye pas in dono me se har qabar per
ek tukde ko rakha.
Jab apse arz kiya gaya ya rasool allah ﷺ aapne aesa kyu kiya,
to ap ﷺ
ne farmaya yaqeenan jab tak ye khashk na hojayenge in dono k azaab me takhfeef
hoti rahegi.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 34-35)
KHULASA:
Is hadees se ye baat sabit hoti hai k nabi e akram ﷺ
qabar me hone waley azaab ko bhi jaante hain aur dekhte hain aur ashaab e
quboor ki awaaz bhi sunte hain aur unkey azaab ki waja aur sabab bhi jaante
hain aur iska hal bhi jaante hain, ye hadees e shareef zaat e risalat ma’ab ﷺ
k azeem tareen khuwat e sama’ath o takhat e basarath aur ilm e gai’b per roshan
daleel hai.
HADEES 3:
TARJUMA:
Hazrath abu huraera رضى الله عنه se riwayath hai k rasool allah ﷺ
ne farmaya:
Kya tum ye samajte ho k mera qibla mera rukh sirf yaha hai?
Khuda ki kasam mujhper tumhare ruku karne ki kaefiyath
mukhaffi nahi hai aur na tumhara khushu o khuzu, aur bila shuba yakeenan main
tumko apni peeth piche bhi dekhta hu.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 102)
MAIN TUMKO DUR SE BHI DEKHTA HOON:
HADEES 4:
TARJUMA:
Anas bin malik رضى الله عنه
se riwayat hai wo nabi e akram ﷺ se riwayath karte hain:
Aapne farmaya tum ruku o sujood sahih taor per ada karo pas
ALAH ki qasam yakeenan zaroor main tumko apne piche se bhi dekhta hu aur kabhi
ap ﷺ
ne is tarah farmaya apni pushth piche se bhi main tumko dekhta hu jab tum ruku
aur sajda karte ho.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 102)
KHULASA:
Is hadees e shareef se ye baat wazeh hoti hai k rasool e
akram ﷺ
logo ki batini kaefiyaat ko jaante hain hare k shaks k khushu o khuzu ki
kaefiyath bhi jaante hain, dur o nazdeek ki tamaam chizo ko jaante aur dekhte
hain.
DAJJAL MADINE ME DAKHIL NAHI HOGA:
HADEES 5:
TARJUMA:
Hazrath abubakr siddique رضى الله عنه se riwayath hai k Nabi kareem ﷺ
ne farmaya:
Madina munawara me dajjal ka ruaab aur khaof aur us waqt
iskey sath(7) darwaze honge har darwaze per do farishte honge.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 252)
KHULASA:
Is hadees e shareef se ye baat ayaan hoti hai k nabi kareem ﷺ
ye baat jaante hain k dajjal madina munawara me dakhil nahi hoga aur iskey 7
darwaze honge jiskey har darwaze per kitne farishte muqarrar hai wo bhi ap ﷺ
jaante hain.
BESHAK MERA YE FARZAND SYED HAI AUR ALLAH INKEY ZARIYE
MUSALMANO KI DO BADI JAMA’ATO K DARMIYAN SALAH KARAYEGA:
HADEES 6:
TARJUMA:
Hazrath abu moosa رضى الله عنه
se riwayat hai k main hazrath Hassan bin ali رضى الله عنه ko farmate huye suna, bakhuda Hassan bin
ali رضى الله عنه ne pahado k manind
lashkaro k sath ameer mawiya رضى الله عنه ka rukh kiya pas umro
bin al aas رضى الله عنه ne kaha beshak main
aese lashkaro ko dekh raha hoon jo palatne waley nahi hain yaha tak k wo apne
hamsaro ko qatal kardey.
To ameer mawiya رضى الله عنه
ne inse kaha aur wo khuda ki qasam do admiyo (ameera mawiya, umro bin al aas)
me behtareen admi the.
Aye umro! Agar ye log inko qatal kardey aur wo log inko to
logo k maamlaat k baarey me mera madadgaar kaon hoga, mere liye inkey ahl o
ayaal aur maal ka zimedaar kaon hoga , phir unhone (ameer mawiya) quraesh k
qabeeley bani abd shams k do admiyo abdul rehman bin samrah رضى الله عنه aur Abdullah bin amer رضى الله عنه ko hazrath Hassan رضى الله عنه k paas rawana kiya aur kaha hazrath Hassan
رضى الله عنه k paas jao.
Inkey paas is darkhwast ko pesh karo aur insey ye (masley ki
baat) kaho, aur inkey paas k masley ko talab karo.
Chunanchey dono inkey paas aye wo dono inkey paas dakhil
huye guftagu kiye aur insey kahe aur in se masalhath ka mutaleba kiye, to
hazrath Hassan bin ali رضى الله عنه ne in dono se
farmaya: Bilashaba ye ummat apni khunrezi me jaldi ki.
In dono ne kaha bila shaba ameer mawiya رضى الله عنه ap per aesi aesi baat (salah ki baat) pesh
kar rahe hain aur apse iska mutaleba aur suwaal kar rahe hain. To hazrath
hassan رضى الله عنه ne kaha, mere liye is
baat ka kaon zamin hai to in dono ne kaha:
Hum apk liye is baat k zamin hain pas hazrath Hassan رضى الله عنه ne in dono se koi
cheez nahi puchi magar in dono ne kaha hum apk liye iskey zimedar hain.
Hazrat Hassan رضى الله عنه
ne masalhath farmayi:
Hazrath Hassan رضى الله عنه
ne farmaya main yakeenan abubakar siddique رضى الله عنه ko farmate huye suna k maine rasool allah ﷺ
ko me’mber per dekha jabkey Hassan bin ali رضى الله عنه apk bazu the aur ape k martaba logo ki
taraf mutawajja ho rahe the aur ek martaba hazrath Hassan رضى الله عنه ki taraf aur ye farma rahe the k beshak
mera ye farzand (Hassan رضى الله عنه) syed hai aur
yakeenan ALLAH TA’ALA inkey zariye musalmano ki do badi jamato k darmiyan salah
karayega.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 372, 373)
KHULASA:
Ye hadees is aqeede ko wazeh kar rahi hai k rasool e akram ﷺ
mustaqbil k tamaam halaat o waqeyaat se achi tarrah wakhif hai aur gai’b jaante
hain aur gai’b ki khabar dete hain aur ap ﷺ ki Mubarak zuban se
jaari hone wali har baat sach aur hokar rehne wali hai.
AESI TEEN (3) CHIZEN JINKO NABI K SIWA KOI AUR NAHI JAANTA:
HADEES 7:
TARJUMA:
Hazrath anas رضي الله عنه
se riwayat hai k Abdullah bin salaam رضي الله عنه
nabi e akram ﷺ
k madina munawara me tashreef laaney ki ittela mili to wo ap ﷺ se chand chizo k
baarey me sawall karne k liye ap ﷺ k paas aaye.
Chunanche unhone kaha bilashuba main apse teen aesi chizo k
baarey me sawaal kar raha hu jinko nabi k siwa koi aur nahi jaanta.
QAYAMAT KI SABSE PEHLE ALAMAT KYA HAI?
JANNATIYO KI SABSE PEHLI GHIZA KYA HAI?
AOLAAD KA KYA MAAMLA HAI JO KABHI APNE WALID KI TARAF JATEY
HAIN TO KABHI APNI MAA KI TARAF JAATE HAIN?
Ap ﷺ
ne farmaya:
Abhi abhi jibraeel عليه السلام ne mujhko uski qabar di hai.
Ibne salaam ne kaha:
Wo (jibraeel) farishto me se yahudiyo k dushman hai.
Ap ﷺ
ne farmaya:
Ab raha qayamat ki sabse pehli alamat pas woe k azeem aag
hai jo inko mashriq se maghrib ki taraf jama karegi.
Ab rahi ahle jannat ki sabse pehli khoraak to wo machli k
jigar ka zayed hissa hai.
Ab raha aolad:
Pas jab aadmi ka pani aorat k pani per sabaqat karta hai to
wo (mard admi) ladke ko (apni taraf) khichta hai, aur jab aorat ka pani mard k
pani per sabaqat karta hai to wo (aorta) ladke ko (apni taraf) khichti hai.
Abdullah bin salaam رضي الله عنه ne kaha:
اشهد ان لا اله الا الله محمد رسول الله
Main gawahi deta hu k ALLAH k siwa koi ma’abood nahi aur
muhammed ﷺ
ALLAH k rasool hain.
Abdullah bin salaam رضي الله عنه ne arz kiya:
Ya rasool allah ﷺ! Beshak yahoodi ek bohtaan taraash qaom hai, pas ap inse mere
mutalliq daryaft kijiye qabal iskey k wo mere islam qubool karne ko jaanley.
Pas yahoodi aye to nabi e akram ﷺ ne farmaya
Abdullah bin salaam tum me kaon aadmi hai.
Unhoe (yahoodiyo) ne kaha:
Hum sab me wo sabse behtar aur hum sab me k behtareen shaks
k bête hain, aur hum sab me sabse afzal hain aur hum sab me afzal tareen shaks
k bête hain.
Nabi kareem ﷺ ne farmaya:
Batao agar Abdullah bin salaam islam qubool karley.
Yahoodiyo ne kaha:
Inko ALLAH inko issey apni panah me rakhe.
Ap ﷺ
ne isi baat ko dohraya to phir yahoodiyo ne isi tarha kaha.
Phir Abdullah bin salaam nikley aur unhone kaha:
اشهد ان لا اله الا الله محمد رسول الله
Main gawahi deta hu k ALLAH k siwa koi ma’abood nahi aur
muhammed ﷺ ALLAH k rasool hain.
Yahoodiyo ne kaha :
Abdullah bin salaam hum sab me burey hain aur hum sab me
sabse zyada burey shaks k bête hain aur inki shaan ko ghata kar bayaan kiya.
Yahoodiyo ki is baat per Abdullah bin salaam ne kaha:
Ya rasool allah ﷺ main isi baat ka andesha karta tha.
KHULASA:
Is hadees e shareef se ye baat sabit hoti hai k nabi e akram
ﷺ
khafi se khafi tar ashya ko bhi jaante hain, qayamat kab qayam hone wali hai
aur iskey alamaat aur iskey nishaniya hata k qayamat ki sabse pehli nishani o
alamat ko bhi jaante hain aur akhirat k bhi tamaam halaat jaante hain, jannat o
ahle jannat, dozakh o ahle dozakh k tamaam halaat jaante hain hata k ahle
jannat ki sabse pehli ghiza kya hai isko bhi jaante hain.
Jo ye kehte hain k is hadees me to khud rasool ﷺ
ne kaha hai k hazrat jibraeel عليه السلام ne inhey qabar di to
phir ye gai’b ka ilm kaese hua to apko chahiye k is topic k shuru k parts
tawajju se padhe aur gai’b k maaney jaaney jismey humne quran ki ayat bhi
batayi hai.
TUJHPER EK NABI EK SIDDIQUE AUR DO SHAHEED HAIN:
HADEES 8:
TARJUMA:
Hazrath anas bin رضي الله عنه
se riwayat hai k nabi e akram ﷺ
aur abubakar o omer o osman رضي الله عنهم uhud pahad per chadhe
pas wo inki waja se khushi me hilne laga.
To ap ﷺ
ne farmaya:
Aye uhud! Tham ja kyu k tujh per ek ba’azmat nabi, ek
siddique aur do shaheed hain.
KHULASA:
Is hadees e shareef se ye aqeeda malum hota hai k ap ﷺ
hare k shaks k maot ki kaefiyath o halaath ko jaante hain k kaon shaheed honey
waley hain aur kaon shaheed honey waley nahi hain.
MAIN ILM EK SHAKS KO DUNGA JISSEY ALLAH AUR USKEY RASOOL
MUHABBAT KARTE HAIN JISKEY HATH PER FATEH NASEEB HOGI:
HADEES 9:
TARJUMA:
Hazrat umme salma رضي الله عنه
se riwayat hai:
Hazrath ali رضي الله عنه
nabi e akram ﷺ
se ghazwa e khaebar me piche reh gaye the aur inko aashob chashm tha to unhone
kaha main rasool allah ﷺ
k piche ja raha hu pas hazrat ali رضي الله عنه
nikley aur nabi e akram ﷺ
seja miley.
Jab is shab ki sham huyi jiski subah me ALLAH TA’ALA fateh
ata farmaya to rasool allah ﷺ
ne irshad farmaya, jo allah aur iskey rasool se muhabbat karta hai isi k dast
per ALLAH TA’ALA fateh ata farmayega to hum kya dekhte hain wo hazrath ali رضي الله عنه hain aur hamey unkey
pahochne ki umeed na thi.
Unhone kaha ye khush naseeb to ali رضي الله عنه hai, tab rasool allah ﷺ ne hazrath ali رضي الله عنه ko jhanda inayat
farmaya chunanche ALLAH TA’ALA ne hazrat ali رضي الله عنه k dat per fateh ata farmayi.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 525)
KHULASA:
Is hadees se ye wazeh hota hai k rasool e pak ﷺ
jung k ikhtetaam se pehle jund k natayej ko bhi jaante hain, fateh milne wali
hai ya shikast hone wali hai.
Ye waqeya jung e khaebar hai.
AGAR IMAAN SURAYYA (KEHKASHAN) K PAAS BHI HO TO UN LOGO ME
SE EK SHAKS ZAROOR HASIL KAREGA
HADEES 10:
TARJUMA:
Hazrat abu huraera رضي الله عنه se riwayat hai k unhone kaha hum nabi
kareem ﷺ
k paas baethe huye the pas ap per surah juma واخرين منهم يلحقوا بهم (rasool e pak un logo ko bhi ta’aleem dete
hain jo sahaba k baad aane wale hain jo k abhi tak sahaba se nahi mile) nazil
hua.
Abu huraera رضي الله عنه
ne arz kiya ya rasool allah ﷺ
wo kaon hai?
Ap ﷺ
ne iska jawaab irshad farmaya yaha tak k ap ﷺ se 3 martaba sawaal
kiya gaya aur hum me salman farsi رضي الله عنه
bhi maojood the.
Rasool allah ﷺ ne salman farsi رضي الله عنه
per apna daste mubarak rakha aur farmaya agar imaan surayya (kehkashan) k paas
bhi ho to isko in logo me k chand ashkhaas ya ek shaks payega.
(BUKHARI, JILD 2, PAGE 727)
KHULASA:
Is hadees e shareef se malum hota hai k rasool e akram ﷺ
mustaqbil k har har maamle ko achi tarah jaante hain kaon ahle ilm o taqwa hai,
inko jaante hain aur wok is ki nasal me paeda hone waley hain isko bhi jaante
hain.
ConversionConversion EmoticonEmoticon