What are the “Modal Verbs”
_________________________
Main apnay kagzon main, apni nam’nehad “Home Made” English
main, English zuban ko do heson main divide kart hon…
1…Tenses
Tenses say murad 12 active 12 passive tenses hain….jab tak
app yeh tenses party rehty hain….yani “FUTURE PERFECT CONTINUOUS PASSSIVE” tak,
to ap ki sare behas “time” say related hoti hai, app k saray questions “time”
say related he hoty hain…
He has gone
He had gone
He went
He was going
koi kahta hai, k yeh action present main ho raha hai, koi
kahta hai, nai past main ho raha hai, koi kahta hai nai recent past main hua
hai…koi khta hai…nai “future” main hua hai…..koi kahta hai mazi say shuru hua
action or abe tak jare hai….yani sare debate is bat pay ghomti hai…k action
“Kab” hua………”When”…….Hamara focus time pay hota hai….bus…
2…Modal verbs…
jasay he yeh 24 tenses poray hoty hain….agla step ata hai
English ka…Jisay duniya “Modal Verbs” k nam say janti hai….
Modal verbs…….ka lafz he “MOOD” say nekla hai….gee han wohee
Mood, jo agar app ki amee kah dain, k “Beta zara chotay bahe ko thora sa parha
to do” to app javab dety hain….”Amee abhee mood nai hai…sham ko parha doon ga”
On a seriours Note, Modal verbs ose mood ko discuss karain
gain…ab baat waqt ki nai ho ge…ab baat “Mood” ki ho ge….ab behas yeh ho ge k
kam karnay walay ka mood kya hai ??
aik kahay ga, yeh request kar raha hai, dosra kahy ga nai
yeh Order day raha hai, tesra kahay ga nai “prediction(peshan’gohe)” kar raha
hai, chotha kahay ga nai, yahan to kabliyat ki bat ho rahe hai. To koi kahay ga
nai muje lagta hai yahan to kisi kaam k karnay ki ijazat de ja rahe hai….
Goya, Modal verbs ki behas ka markaz yahe ho ga. K subject
ka mood kya hai???? Yahan time matter nai karay ga itna…present ya past…yahan
Mood matter karay ga…
Ab sunain agli dilchasp baat……
Many aik cheez boath zaida observe ki pechlay arsay main….k
agar market main koi cheez 1000 rupay ki ho to khawateen foran kah dain
geen…uff boath mehangi hai…..
lakin agar wohe dukan dar yeh likh k laga day….k 2000 ki
cheez pay 50 percent off, dhamakay dar offer…2000 ki cheez 1000 main lay
jayain…to khawateen kherki tor shopping kar dalain geen….jab k hakekat main woh
cheez 1000 ki the….
Manay be kuch aisa he keya hai…..Har Modal verb ki basic
definition 2,3 uses say zaida ki nai hai….
yani….Can….k major….3 he uses hain…..baki sara to topi drama
hai
par ab main kya karta hoon…??
main likhta hoon….”10 uses of “Can”
parhnay wala aik dum hil jata hai…..k hum nay hamisha 2,4 he
uses parhay hain…yeh banda 10 uses bata raha hai…
jab k asal bat to yeh hai k major uses to wohee 3,4 he
hain….baki to wohe 50 percent ka discount wala eye wash hai bus….
jasay main kahta
k “Can…ki identity hai…sakta hai, sakti hai, sakty hain…
1..ability k liyay use ho ga.
I can drive,
2…Ijzat denay k liyay use ho ga.
You can use my laptop
3…Ijzat lenay k liyay use ho ga….
(zara gor karain….jo ijazat denay k liyay use ho ga, wohe to
lenay k liyay be use hona hai, is main neya kya hai ???)
Can I know your name?
4..Request k liyay use ho ga
Can I have your cell number?
kya main app ka number lay sakta?
5..Request reject karnay k liyay use hota
You cannot have my number.
Tum nai lay saktay mera number.
bai…agar request k liyay ho ga…to understood hai…rejection k
liyay be yahe ho ga…..
Yun he main lafzon say khelata hoon….ab duniya ka koi banda
yeh be nai kah sakta uth k app galat kah rahay hain….kyu k jo uses main bata
raha hoon…woh hain be theek….. lakin sirf mery lagzon ka kamal hai….jis ka muje
pesa milta hai…..
Main lafzon ka khelari
Mery lafz be meyari
Yeh he mery fun ki funkari
phir jab yeh 10, 10 uses ki video chalti hain….to loog
dhara’dhar Skype Classes join karty hain....
jab k jo loog Skype pay parhty hain…mujh say…who agree
karain gain…
k unay main har modal verb k 1,2 uses say zaida nai
batata…unay main zara be nai uljhata lambay chakron main…na confused karta
hoon….isi liyay who kahty hain…k sir Modal verb to tenses say be zaida asan
hain….
Lakin page pay muje zaida uses denay party hain…..balkay woh
be bana k denay hain…jo sirf mere taraf say banayain gay hoty hain….us ki
reason yeh hai…k yahan sirf bachay nai hain….yahan kae advanced learners be
hain….agar main aik be kam use bataon ga…to aik second main comment ay ga…
“sir manay aik book main parha hai “would” ko past habit k
liyay be use keya jata hai…..jab k app kah rahay hain sirf “used to” ko mazi ki
adat k liyay use keya jata hai”
lehaza aisay sawalon ko uthnay say pahlay he…main itnay
zaida Modal verb k uses bata deta…k koi duniya jahan ki ketabain be khangal
lay….un uses k elava koi be neya use nai nekal sakta Modal verbs ka….
Ab atay hain….Modal verbs ko samajnay ki taraf…practically
agar main Skype pay parhata hon..jo beginners hain…
to main usay sirf itna he kahta
“Can” sakta hai, sakti , sakty hain
jahan yeh identity dekhain…”Can” lagayin bus….with first
form
who ketab parh sakta hai.
He can read the book.
Tum mery laptop use kar sakty ho.
You can use my laptop.
is chakar main na parain…k yeh request hai, order hai
command hai suggestion hai….
Yun he
“Would” kis identity amoman “ga, ge, gay” hai…jis ka major
function sirf yahe hai…k who “future” desire show karta hai bus….
I will go……..correct
I would go……correct
main jaun ga……ab agar app khushi say kah rahay hain…to
desire hai app ki…app “would” laga dain…agar app ka believe hai..k app nay jana
hai to “will” laga dain…
or agar phir be confused hain…to jo marzi laga dain….dono
theek hain…
reader kabe be app ki mistake pakar he nai sakta…k yahan app
ka believe tha…or yahan desire…
isi tarhan..
May….ka istemal takreban na honay k brabar hai….app agar
sirf “Can” ko he pakar lain….to “May” ki zaroat khatm ho jati…
kyu k is main be margin hai.
You may go now.
tum ab ja sakty ho.
You can go now.
tum ab ja sakty ho.
both are correct….sirf aik formal hai…dosra informal hai….
ab atay hain…Modal verb k structure ki taraf….
nehayat he asan structure k sath modal verb app k samnay aty
hain…yahan koi lamba chakar nai…verb ki forms badalny ka..helping verb ka
singular plural ka…
Aik Identity.
Aik helping verb
Aik Verb
Hamisa verb ki 1st form ay ge….
hamisha “can” he singular plural k sath ay ga.
Hamisa “can” khud he helping verb hua karay ga.
agr formula bana k doon to kah sakta hoon.
Formula of “Can”
1…Identity…..Sakta hai, sakti hai, sakty hain
2..Helping verb….Can
3…Verb………….1st form
4…Singular/Plural……..can
Formula of “Could”
1,,Identity….saka, saki, sakay
2..Helping verb….could
3…Verb…….1st form
4,,,Singular/Plural….Could
yun he tamam modal verbs ka formula bana lain app….
yad rakhain…..Har Modal verb ki basic definition k mutabik
us k major 2,3 he uses hain baki sub hum jasay teachers k banayay huvay rules
hain…apnay students ko impress karnay k liyay….. post By Syed Ali Raza>>
ConversionConversion EmoticonEmoticon