Use of Would have been Might have been Must have been

learn about would have been ing might have been ing must have been ing



Use of

Would have been+ing
Might have been+ing
Must have been+ing


Conditional main Continuous ya progressive form ka istemal boath common hai.
jo loog Conditional ko samaj chukay un k liyay yeh tough hargiz nai ho ga.

               1…Would have been+ing
agar who mehnat karta to kamyabi hasil kar raha hota.
If he had worked hard, he would have been getting success.
would have been+ing…ka istemal tab keya jay ga, agar jumlay main mazi ki khuvahish ka izahar continuous form main keya ja raha ho.
agar Pakistan acha khelta, to ajj hum jashan mana rahy hoty.
If Pakistan had played well, we would have been celebrating today.
(yeh mazi ki khuvhaish zahir kar rahe hai…waqt guzar chukka hai…par hum continuous khuvahish kr rahy hain)


       2…Must have been+ing
agar Pakistan acha khelta, to zaroor match jeet raha hota.
If Pakistan had played the match, it must have been wining.
“agar humary jumlay main zaroor raha hota…aa raha ho to “must have been+ing” ata hai.


        3… Might have been+ing
Agar Pakistan acha khelta, to shahid is waqt hum jashan mana rahay hoty.
If Pakistan had played well, we might have been celebrating right now.

agar mazi k shak ki bunyad pay bat ki ja rahe hai…jo continuous form main ho to aisay main “Might have been+ing” ka istemal keya jay ga.
Previous
Next Post »