Etekaaf Mein Bethne Ka Sawab, etkaaf me kun betha jata hein,
===================__________________________________________________________
Ramzan ka etekaaf -
Ramzan mein aakhri raato, 21vi raat se lekar chaand raat tak
masjid mein rahna etekaaf kehlata hai. Iska bahut sawab hai.
(1) Etekaaf mein bethne wala Allah ka mehmaan ban jata hai,
socho Mezbaan agar Allah hai to apne mehmaan par kitni rahmat aur barkat farmaega.
(2) Etekaaf Mein Bethna hazrat Muhammad (sallallau
alyhiwasallam) ki sunnat hai, etekaaf mein bethne se sunnat ka sawab bhi milta
hai
(3) Etekaaf mein bethne se humko shab-e-qadr (ramzan mein
jaagne waali raat) bhi mil jaati hai, is raat ka sawab 1000 mahino (84 saal) se
bhi badhkar hai.
(4) Etekaaf mein bethe wala ibadat to karta hi hai lekin
uska letna, bethna, khana-peena bhi sawab mein likha jata hai.
(5) Etekaaf mein bethne se insan duniya se door ho jata hai,
isliye yaha Allah ke nazdeek hona aasana hai.
(6) Etekaaf Mein betha insan masjid se bahar nahi nikal
sakta, aese mein masjid ke bahar waale sawab ke kaam mein hissa nahi le paata,
jese beemar ko dekhne jana, kisi ki mayyat mein shaamil hona, logo ki madad
karna wagerah, lekin etekaaf mein bethne walo ko aese kaamo ka bhi sawab milta
rahta hai
(7) Jo insan Allah ke liye ek din bhi etekaaf mein bethta
hai Allah uske aur dozakh ke beech 3 khaiyan kar deta hai, jiske beech ki duri
aasman aur zameen ki duri se bhi zyada hai, jab ek din ka itna sawab hai to 10
din bethne par kitna hoga.
(8) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya jo
10 din etekaam mein beththa hai usko 2 haj aur 2 umra ka sawab milta hai.
Aurat bhi apne ghar ke kone mein etekaaf ki niyat karke beth
sakti hain.
Bhaiyo banho, hum kahi tourist place ya shadi mein jaane ke
liye 10 din ki leave le lete hain, to kya itne faida ke dino ke liye nahi le
sakte, isme aetekaaf mein bethne ka sawab alag, shab-e-qadr mil jaaegi wo alag,
yaani sawab hi sawab.
Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.
ConversionConversion EmoticonEmoticon