What is taraweeh kia hoti hein Taraweeh Padhne Ka Tarika


What is Taraweeh? 


 These are extra sunnah prayers prayed at night time in ramadan. Taraweeh is prescribed and an established sunnah. Prophet Muhammad Sallalahu'Alayhi'Wasallam led his companions in prayer (Taraweeh) for several night's, then on the third or fourth night he did not come out to them. When morning come he said *nothing prevented me from coming out to you except the fact that I heard that it would be made obligatory* (bukhari:1129) How many Rakahs (unit) is it? Minimum and established sunnah Is 8. Where to pray? Best and greater reward for women is to pray at home as Taraweeh can be prayed individually as it comes under night worship (qiyam), women can also pray in congregation with other women in their houses. How to pray? Taraweeh prayers is 2 by 2 raka'ahs. So pray 4 fard first then 2 sunnah of isha. Followed by 2 raka'ah of Taraweeh do tasleem then restart another new 2 raka'ah, at the end you pray witr which can be 1,3,or 5 raka'ah. It's mustahab that your last prayer of the night is with. But if you want to pray tahajjud later in the night you can pray even if you have already prayed with. RECITING THE DUA. glory and praise to be you subhanaka rabbana bihamdika aghfirlana, O lord, O Allah forgive us. Allah knows best.


Taraweeh Padhne Ka Tarika

 ================================ Mardo ko to taraweeh masjid mein imam ke piche 'jamat' se hi padhna hai, lekin agar koi kisi majburi ki wajah se ghar par hi padh raha ho, to ye tarika dekhiye, aur ladkiyo ko to ghar par hi padhna hai - Ghar par ya akele mein taraweeh padhne ka tarika. Taraweeh isha ki namaz ke baad (3 witar se pahle) padhege, iske baad 3 witar padhenge, taraweeh ki 20 rakat hoti hai, ye 'sunnat al moaqqeda' hai, Ye 2-2 rakat karke padhenge, isme jo surah yaad ho wo padh sakte hain, bahut se log alam-tara se surah naas tak padhte hain, is tarah 10 rakat ho jaati hai, phir wapas 11 rakat mein alam-tara padhte hain, is tarah 20 rakat ho jaati hai, matlb pehli 2 rakat namaz ki niyat ki, usme pehli rakat mein alam-tara padh li, dusri rakat mein surah quresh padh li, salam fer liya phir khade ho gae, phir 2 rakat ki niyat kari ab 'ara-ay-tal lazi, padhi aur dusri rakat mein 'inna aatena' padhi - yaha 4 rakat ho gai, is tarah surah naas tak padhte jaenge, surah naas tak 10 rakat ho jaegi, phir 11 rakat se wapas alam-tara se shuru kar denge to 20 rakat ho jaegi. Jo ayat ka tarika bataya hai, aesa karna zaruri nahi, agar ye tarika theek lage to is tarike se padhen, warna koi si bhi surah padh sakte he. Agar saari ayat nahi aati ho to jo jo surah yaad ho wo padh lo. Taraweeh ki jab 2-2 karke 4 rakat ho jaati hai tab beth kar 'taraweeh ki dua' padhte hain, phir iske baad 2-2 karke 4 rakat padhenge - phir dua padhenge, matlab har 4 rakat ke baad dua padhenge, is tarah puri 20 rakat mein 5 baar ye dua padhenge. dua ye hai. Subhana Zil Mulki Wal Malakut, Subhana Zil 'Izzati wal 'Azmati Wal Haybati Wal Qudrati Wal Kibriyaaee wal Jabaroot. Subhanal Malikil Hayyil Lazee Laa Yanaamu Wa laa Yamoot- Subbu-hun Quddu-sun Rabbuna Wa Rabbul Malaaikatee War Ruh. Allahumma Ajirnaa Minan Naar-Ya mujeeroo Ya mujeero Ya mujeer jab taraweeh ki 20 rakat puri ho jaegi uske baad phir 3 rakat witar padhenge. phir 2 rakat nafil padhenge. Isko likhne mein koi galti na ho, is baat ki humne puri koshish ki hai, lekin phir bhi kahi koi galti ho gai ho to comment mein bataiye. Allah hum sabko saare roze aur taraweeh padhne ki taufik ata kare, aur hamari ibadato ko kubul kare, aameen.
Previous
Next Post »